• We deserve equal respect and trust too | Breaking beauty stereotype with RJ Sona
    Nov 7 2022
    Female employees ke bare me bahut sare taboos tootne lage hain. Par ab bhi female boss par companies bahut kam trust karti hain. Unhe aksar taken for granted liya jata hai. Jabki subordinates women boss ki kabiliyat par sandeh karte hain. Islie sirf equal pay hi nahi equal trust aur equal respect ki bhi zarurat hai.
    Show More Show Less
    4 mins
  • We must break the bias around Men too | Breaking beauty stereotype with RJ Sona
    Oct 10 2022
    Hum aksar women ke bare me bias par discuss karte hain. Par kya hamne kabhi socha hai ki hamare aaspass ke purush bhi bahut sare unwanted burden jhel rahe hote hai. Breaking beauty stereotype ke iss episode me hum ese hi stereotypes par bat karenge. Healthshots Hindi Podcast me sunte rahiye RJ Sona ko.
    Show More Show Less
    6 mins
  • Are we really ready to give respect to women | Breaking beauty stereotype with RJ Sona
    Sep 30 2022
    Har taraf Navratri ki dhoom machi hai. Deviyo ke roop me hum har Stree shakti ki upasana kar rahe hain. Par kya wakayi hum Aurato ka samman karna jante hai? Kya hum sachmuch taiyar hain apne aaspass ki har Aurat ka samman karne ke liye? Healthshots podcast Breaking beauty stereotype ke iss episode me RJ sona kar rahi hain stree ke samman aur apke wyavahar par bat. Tune in kijiye HT smartcast.
    Show More Show Less
    4 mins
  • Is there any gender equality in career? | Breaking beauty stereotype with RJ Sona
    Sep 19 2022
    Gender Equality iss samay ki zarurat hai. Aaj India hi nahi duniya bhar me iski maang ki ja rahi hai. Hum sabhi iske liye koshish bhi kar rahe hain. Par career ke front par aksar nirasha hath lagti hai, jab hum dekhte han ki same job aur same qualification ke bawjood women ko men se kam pay kiya jata hai. Healthshots podcast Breaking Beauty stereotype ke aaj ke iss episode me RJ Sona ke sath karte hain gender equality in India par bat.
    Show More Show Less
    5 mins
  • Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Whose happiness is more important in wedding
    Sep 9 2022
    Shadi do logo ka hi nahi, do pariwaro ka bhi mel hota hai, esa kaha jata hai. Par ab jab shadi me tamam tarah ke stereotype toot rahe hain, tab ye sochne ka bhi samay hai ki, shadi me kiski khushi zyada important hai, Bride ki ya, bride ke khandaan ki.
    Show More Show Less
    8 mins
  • Breaking beauty stereotype with RJ Sona | How to deal with bullying
    Aug 26 2022
    Breaking beauty stereotype ka naya episode lekar hum apke sath hain. Aapjante hi hain ki iss podcast me hum tamam taboos ko todate hain. Toh kyu na aaj bullying ke khilaf morcha khola jaye! BBS ke iss episode me RJ sona bata rahin hain bullying se nipatane ka ek interesting tarika.
    Show More Show Less
    6 mins
  • Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Dont ask others about your looks
    Aug 16 2022
    Aap girl hain ya boy hain, aap kese dikhna chahte hain ye poori tarah apki marzi hai. Apne looks aur apni choice ke liye dusro ki permission ki zarurat nahi hai.
    Show More Show Less
    4 mins
  • EP- 80, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Divorce doesn't mean the end of happiness
    Aug 3 2022
    Bahut sare mental health issues ki root un social taboos me hai, jo ladkiyo ko khush hone se rokte hain. Divorce ne bhi bahut sare taboos ko add on kar liya hai. Ek relationship ka tootna kisi ke liye bhi heartbreaking ho sakta hai, par iska ye matlab nahi ki aap kabhi khush hi nahi ho sakte.
    Show More Show Less
    5 mins