Ek Adhuri Kahani

By: Fever FM - HT Smartcast
  • Summary

  • Suspense is a story in itself. Stories know no bounds. It is beyond science, beliefs and faith. Breaking the chains, they are the most unexpected event. In this podcast, the narrator RJ Devv bring to you stories that will amaze you and make you wonder. Story & Voice - Devankan Chakraborty, Sound Design - Rudra Sarkar, Creative Producer - Arindom Chakraborty, Art - Sourav Mukherjee This is a Fever Stories production, brought to you by HT Smartcast.
    HTSmartcast
    Show More Show Less
Episodes
  • Tumhari Shobha
    Dec 16 2024
    Jab Tak Aatma Ki Mukti Nahi Hoti, Tab Tak Woh Wahi Rehti Hai Ya Usse Mara Jata Hai, Yeh kahani shuru hoti hai ek gaaon mein, jahan do pyar karne wale samaj se door bhaag jana chahte the. Lekin aakhir kaar, achanak Shobha kahin gayab ho gayi. Bansi Chacha ki maut ke baad, unka parivaar aur gaon wale sab kuch samajhne ki koshish kar rahe the, lekin jo sachai saamne aayi, woh kisi ne nahi sochi thi. Lekin kyun sab kuch ek dum se alag ho gaya? Chhat par, deewaron par, har jagah gol-gol chalak apne aap likhe ja rahe the. Iske peeche Bansi Chacha ka saya tha ya Shobha ka? Kya Shobha waaqai gayab hui thi ya uski hatya ki gayi thi? Agar aapko is kahani ke baare mein aur jaan na hai, toh yeh episode zaroor sunna!
    Show More Show Less
    12 mins
  • Unexplainable night at Haunted Hotel
    Dec 9 2024
    Bhoot Bangla Hotel: Hum sabko Bhagwan mein vishwas hai, lekin aatma mein kyun nahi? Jaise andhera hota hai, waise hi savera hota hai. Yeh hi maan na tha meera ka, yeh kahani hai ek couple ki jo apna honeymoon manane haunted hotel mein rehte hain. Shadi ke baad, Meera aur Abhinav honeymoon ke liye Dehradun aaye the, lekin jo kuch unhone wahan dekha, usne unki zindagi ka rukh hi badal diya. Hotel ka mahaul bilkul alag tha, lekin abhi tak unhone socha tha ki sab kuch thik hai. Jaise hi unka raat ka safar shuru hota hai, cheezain ajeeb ho jaati hain. Pehle to, ek ajeeb si awaaz sunayi dene lagti hai, lekin abhinav ko lagta hai ki bas kuch kaam chal raha hai. Lekin jab raat ke andhere mein kuch aur hi dikhayi dene lagta hai, tab sab kuch saaf dikahi dene lag jata hai.Meera ke saath kuch to ajeeb hota hai, aur Abhinav ko samajh mein nahi aata ki kya ho raha hai. Kya yeh sach mein koi saya hai? Ya phir kuch aur? Kya yeh hotel “haunted” tha ya phir kuch aur tha jo unhe andar jaane ke baadh hi pata chala ? Pura jaanne ke liye yeh episode zaroor sunna.
    Show More Show Less
    12 mins
  • Doctor ka Laalach
    Dec 2 2024
    "Laalach insaan se kya kya nahi karwata? Yeh kahani ek doctor ki hai, jismein uski zindagi ka ek purana sach ab uska peecha nahi chhod raha. Saalon pehle, doctor ne apne lalach ke chakkar mein aise faisle liye jo na sirf uski professionalism par sawal uthate hain, balki uski khud ki zindagi ke liye bhi khatra ban gaye. Us waqt usne gareebon ki madad se apna haath peeche kheench liya tha, aur wajah thi – uska laalch. Ek raat, usse ek anjan number se call aati hai, jismein ek aadmi madad ki pukar kar raha hota hai. Doctor ka mann usse bachane ke liye taayaar ho jata hai, aur voh turant apna ghar chhod kar us gaon ke liye nikal padta hai. Lekin jab voh wahan pahuncha, toh jo usne dekha, usne uski poori duniya hila di. Kyunki jis wajah se voh gaya tha, wahan na koi mareez tha aur na hi koi insaan. Toh fir usse call kisne ki? Usse mareez ke kamre tak le jaane wala aadmi kaun tha? Aur kyun usse hi is kaam ke liye chuna gaya? Ek kamra, jahan sirf laashe thi… yeh sab kya tha? Pura sach jaanne ke liye yeh episode zaroor suniye!" Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices
    Show More Show Less
    16 mins

What listeners say about Ek Adhuri Kahani

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.