Preview

Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

Kaamkajee Mahilaon Ki Swasthya Samasya

By: Shameem Khan
Narrated by: Pallavi Bharti
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Kaamkaji mahilaon ko ghar aur bahar ki dohri zimmedari uthani padti hai, isse unki jeevanshaili kaafi badal jaati hai. Office mein kayi ghanton computer ke saamne baithkar kaam karna, sharirik sakriyata ki kami, junk food ka sevan, tanav ka badhta star aur anidra mahilaon ke swasthya ko buri tarah prabhavit kar rahe hai. Badalti jeevanshaili ke kaaran unki rog pratirodhak khamta bhi kamzor ho rahi hai, jisse ve bimariyon ki aasan shikar ban rahi hai. Lekin kayi aise upaay hai jinhe apna kar kaamkaji mahilayein swayam ko fit aur swasth rakh sakti hai, saath hi rogon ki chapet mein aane se khud ko bacha bhi sakti hai. Bharat mein breast cancer ke lagatar badhte aankde chaukane-wale hai. Dilli, Mumbai aur Bangalore jaise mahanagaron ki mahilayein tezi se iski shikar ho rahi hai. Badalti jeevanshaili ke kaaran mahilayein career ko prathamikta deti hai aur shaadi ki umr badhti jaati hai. Jo mahilayein pachees aur tees ke beech ya paintees ke baad maa banti hai, unme breast cancer ka khatra badh jaata hai kyunki unke sharir mein estrogen adhik samay tak reh jaata hai. Iske alawa kaamkaji mahilayein theek tarah se apne bachchon ko breast feeding nahi kara paati, aur isse breast cancer ka khatra badh jaata hai kyunki unke sharir mein estrogen adhik samay tak reh jaata hai. Doctoron ka kehna hai ki jo mahilayein bachchon ko ek saal tak doodh pilati hai, unmein breast cancer ka khatra gyarah pratishat tak kam ho jaata hai aur agar yah avadhi chaubees maheene tak hoti hai to yah khatra pachees pratishat tak kam ho jaata hai. Is pustak mein kaamkaji mahilaon ko swasth rehne ke liye kuchh tips aur salaah diye gaye hai.
    ©2015 Prabhat Prakashan (P)2020 Audible Studios
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2

What listeners say about Kaamkajee Mahilaon Ki Swasthya Samasya

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.