• S2E44 | Why do we need GOD | Mann Ki Medha
    Jan 12 2023
    Hum sabhi kisi na kisi se margdarshan pana chahte hain, Ye wahi wyakti hota hai jiska hum mann se samman karte hain. Childhood me jaha hame apne parents se guidance milti hai, wahi bade hokar hum apne Guru ya Mentor ki guidance me aage badhte hain. Par kya Param satta, Parmatam ya GOD hame esa koi marg dikha pate hain? Akhir kyu hoti hai hame GOD ki zarurat, Health shots podcast Mann ki Medha me Life coach Dr Medhavi jain kar rahi hain baat.
    Show More Show Less
    7 mins
  • S2E43 | Dont confuse Adhyatma with Dharma | Mann Ki Medha
    Dec 23 2022
    Hum aksar dainik pooja path ya anushtano adhyatm maan lete hain. Jabki Dharm, Dharmik anushthan aur adhyatm ye teeno hi alag alag hain. Yahi vajah hai ki bahut se log , inhe ek dusre ka paryay maan lete hain. Aaoiye aaj adhyatma ke hawale se Hindu shabd ki samajhne ki koshish karte hain.
    Show More Show Less
    8 mins
  • S242 | Why we need a Guru or Mentor | Mann Ki Medha
    Nov 30 2022
    Digital era me hamare pass har cheez ke solution ke liye google suggestions hoti hain. Iske bawajood hum kisi na kisi Mentor ya Guru ki talaash me rahte hain, Jo hame thik se life skills ya education de sake. Aakhir kyu hai hame ab bhi inki zarurat. Guru Shishya paramapara par bat kar rahi hain life coach Dr. Medhavi Jain Health Shots podcast Mann Ki Medha ke iss episode me.
    Show More Show Less
    7 mins
  • S2E41 | Soul science and material science | Mann Ki Medha
    Nov 23 2022
    Jiwan bhar hum sabhi kuchh na kuchh seekhte rahte hain. Fir bhi ek sthiti esi aati hai ,jab hame lagta hai ki hum ab bhi bahut kuchh nahi jante. Science me har cheez ke liye ek logic set hota hai, jabki hum bahut bar logics ki bajaye anubhootiyon par vishwas karte hai. Tab kya hai zyada trustworthy soul science ya material science. Healthshots podcast Mann Ki Medha ke iss episode me bata rahi hain life coach Dr. Medhavi Jain.
    Show More Show Less
    8 mins
  • S2E40 | On whom are you putting the responsibility of any incident? | Mann Ki Medha
    Nov 15 2022
    Success hame hamesha apni lagti hai, Jabki failure ke liye hum koi na koi excuse dhoond lete hain. Kaun hai kisi bhi incident ya accident ka zimmedar? aaiye Healthshots podcast Mann ki Medha ke aaj ke iss episode me samajhte hai, kya causality principle yani Karya Karan Siddhant. Stay tuned with HT Smartcast.
    Show More Show Less
    8 mins
  • S2E39 | Know how we can set our destiny | Mann Ki Medha
    Nov 11 2022
    Jiwan bhar hum sabhi apni apni tarah se hard work karte hai. Apni personla and professional life ke liye. Par kuchh logo ka hard work unhe jaldi aur zyada pay karta hai, Jabki kuchh log bhaut mehnat ke baad bhi kamyab nahi ho pate. Kya ye wakayi Destiny ka mamla hai! Ya hum khud apni destiny set kar sakte hain? Healthshots podcast Mann Ki Medha ke iss episode me life coach Dr. Medhavi Jain ke sath karte hai destiny par bat.
    Show More Show Less
    7 mins
  • S2E38 | Inevitability of penance for all | Mann Ki Medha
    Oct 18 2022
    Penance means Tapasya asla me kya hai? Zyadatar log ise sirf adhyatm se jodte hain, Jabki iski zarurat hum sabhi ke liye jiwan ke har star par padati hai. Fir chahe wo hamara niji jiwan ho ya professional life. Bina tapasya aur patience ke hum perfection ko prapt nahi kar sakte. Healthshots podcast Mann ki Medha ke iss episode ko suniye, jisme wo Tapsya ki anivaryata ke bare me bat kar rahi hain.
    Show More Show Less
    7 mins
  • S2E37 | Lets find the beginning and the End of the time | Mann Ki Medha
    Oct 6 2022
    Samay kya hai? aur iski shuruat kahan se huyi, hum me se bahut sare log iske bare me jananaa chahte hain. Scientist Big Bang se iski shuruat batate hain. Jabki Adhyatm me ise aadi aur ant se bhi pare kaha gaya hai. Toh kya hai asal me samay. Healthshots ke is Hindi Podcast Mann Ki Medha ke iss episode me Dr. Medhavi jain kar rahi hain ise khojne me hamari madad.
    Show More Show Less
    8 mins