• बर्मा के जंगलों में
    Oct 6 2022
    Bharat aur Burma ki seema par ek chote se gaon mein se jab hum guzar rahe the toh kuch hathiyaarband logon ne mera apharan kar liya. Baad mein pata chala ki mujhe galti se utha liya tha aur meri shakal kisi aise shakhs Krishnamurti se milti thi jo usi gadi mein tha aur madak padarthon ki taskari mein lipt tha. Yeh sangathan ke log kanoon ki madad karte the magar gairkanooni tareeke se. Kuch din baad jab saabit hua ki mai Krishnamurthy nahi hu, unke commander ne order diya ki mujhe chod diya jayega. Unn kuch dinon me, unme se ek ladki Neena ne mera bohut dhyaan rakha tha. Mere prati uska vyvahar kaafi acha tha aur jald hi mujhe usse pyaar ho gaya. Jab unhone mujhe chodne ki baat ki toh maine unke aage apna prastaav rakha ki main Neena se shaadi karna chahta hu. Unhone mujhe anumati de di aur aaj Neena meri patni hai.
    Show More Show Less
    15 mins
  • बंद आकाश खुला आकाश
    Oct 6 2022
    Maine apne shauk ko poora karne ke liye ek tota khareeda aur usse ek pinjre me band kar diya. Kuch samay baad hi uss pinjre mein tote ki chatpatahat aur bechaini ne hume pareshan kar diya. Jab bhi vo tota dusre toton ke jhund ko dekhta, bechain ho jata. Ek baar pinjra kholne par bhi vo zyada udd na saka aur maine usse phir pinjre mein band kar diya. Phir ek baar toton ka samuh dekhne par vo ekdum pareshan ho gaya magar tab bhi pinjra kholne par vo udd na saka. Uske pankh bhi kamzor ho gaye the aur vo udna bhul gaya tha. Issi tarah samay beet ta gaya aur vo pinjre ko apni niyati maan kar reh gaya. Magar ek din jab kheton me tote aaye hue the, mai pinjre ko lekar wahan pahunchi aur usse khol diya. Tote ne turant bahar kadam rakha aur dheere dheere koshish karta hua tote ke un samuhon ke beench pahuncha. Apno ke beech vo bohot khush tha.
    Show More Show Less
    12 mins
  • बहारें फिर भी आएंगी
    Oct 6 2022
    Mallika aur Aamir ek dusre se bohot pyaar karte the. Magar dharm aur jati ke bandhan ne unke pyaar ki bohut pareeksha li. Mallika aur Aamir ne ek dusre ka sath nahi choda. Sheher me dange hote rahe. Un dono ke upar hamle hote rahe aur unka jeena dubhar ho gaya. Magar phir bhi unhone court marriage ki aur kissi tarah dangaaiyon se bachte bachate hue America ke New Jersey pahunch gaye. Waha Princeton college mein unhe kaam bhi mil gaya. Bohut jald unki zindagi sanwar gayi. Unke do bacche hue. Iss beench unhone bharat se kisi rishtedaar ke sath koi sampark nahi rakha. Jab bacche bade ho gaye aur unki shaadi ho gayi tab party rakhi gayi. Usme unhone apne kuch rishtedaron ko bulaya aur sab pehle ki tarah hi bohut pyaar se mile.
    Show More Show Less
    16 mins
  • बगावत
    Oct 6 2022
    Usha teen bhaiyon ki akeli behen thi magar uske bhai aur maa uske saath acha vyavhaar nahi karte the. Teenon hi bhai padhai me ausat the jabki Usha tez thi isliye ve usse jalte the. Uska sapna doctor banne ka tha aur uske bhai sadharan vyapari bankar reh gaye the. Maa bhi bhaiyon ka paksh leti. Ek keval pita the jo Usha ka paksh lete the par jaldi hi ve duniya se chale gaye. Usha tab tak apni padhai poori kar chuki thi. Pita ke jane ke baad uske bhai aur bhi zyada manmani karne lage aur uss par poora control rakhte the. Iss beench Usha ki mulaqat Shailendra se hui jis ne isse bharpoor pyaar diya. Vo ek sadharan sarkari mulajim tha. Usha ko phir bhi usse pyaar hua aur usne usse apna jeevanasaathi bana liya. Aaj vo apne iss faisle par bohut khush thi. Shailendra ne pyaar ke liye ab tak taraste uske jeevan ko apne pyaar se bhar diya.
    Show More Show Less
    20 mins
  • बदनामी का डर
    Oct 6 2022
    Raj ek ubharta hua yuva neta tha aur namcheen khaandaan se tha. Usse Anita se shaadi karni padi jo ek tarah se rajanitik samjhauta tha. Vo aur Anubha ek dusre se pyaar karte the aur unka rishta pehele ki tarah chalta raha. Idhar Anita maike gayi thi aur usne Anubha ko ghar bula liya. Yeh do teen din chala phir Anubha ki tabiyat kharaab hone lagi. Raj ko chinta thi ki agar vo usse hospital lejane ke liye ghar se nikla toh undono ki tasveer har jagah media mein chap jayegi. Aise chalta gaya aur raat tak Anubha ki maut ho gayi. Ab Raj ki bhi tabiyat kharab hone lagi aur usse samajh aaya ki yadi vo abhi bhi badmani ke dar se hospital nahi gaya toh uski bhi jaan par ban aayegi. Isliye tab usne kisi tarah ambulance bulakar khud ko admit karaya. Lekin waha uski band aankhon ke aage Anubha ka hi chehra ghumne laga jaise ki vo keh rahi ho ki yeh tumne theek nahi kiya mere saath. Iski sazah tumhe milegi.
    Show More Show Less
    11 mins
  • बड़ी लकीर छोटी लकीर
    Oct 6 2022
    Sumit ki shaadi Shikha se hone par vo bohot khush tha magar samay ke saath samajh gaya ki uske sasuraal mein Shikha ki behen Neetu, ke pati, Anil ka bolbala hai kyuki vo bohut safal aur dhani tha. Sumit ko heenbhavna mehsoos hoti hai aur vo Anil ke jaisa banna chahta hai magar bann nahi pata. Uske koi bhi kaam karne par uski saas aur Anil samjhate iss se behtar kaise karo. Iss chakkar me vo kai kaam me asafal ho jata. Dheere dheere usse lagne laga jaise Meera bhi usse dukhi rehene lagi hai aur vo kabhi bhi khushaal nahi ho payega, Anil jaisa na ban payega. Ek din ek party mein usse apni college ki saheli Bhavna mili jisne usse samjhaya ki zindagi me dusron ke bajaye khud se pratiyogita rakho. Tabhi khush rahoge. Apne dil ki baat apni patni se kaho. Bhavna ki baat sunke Sumit ko lagta hai ki agar vo uski baaton ke anusaar chalega toh zindagi phir se sanwar jayegi.
    Show More Show Less
    17 mins
  • बाढ़: क्या मीरा और रघु के संबंध लगे सुधरने
    Oct 6 2022
    Kai saalon pehele Meera ne Raghu ko chod diya kyuki vo zimmedaar insaan nahi tha. Uss vaqt unka beta dhai saal ka tha, ab dus saal ka ho gaya hai. Ek din baarish ki vajah se bijli chali gayi aur uska beta ghar mein akela tha. Meera office se nikli aur usne dekha ki har taraf baadh jaisi halat ho gayi thi. Jitna aage ja saki, vo gayi, aur ek building ke neeche aa khadi hui. Usse ehsaas hua ki issi building mein vo Raghu ke saath reheti thi. Ummed mein Raghu ki sahayata lene vo upar gayi. Raghu mila aur usne Meera ko andar bulakar uska ache se khyaal rakha. Raghu phir bacche ko lene jata hai magar tab tak usse baadh suraksha shivir me pahunchaya ja chuka tha. Tab uss din vo dono saath rehte hai aur Meera dekhti hai ki vo bohot zimmedaar ho gaya hai aur khush hoti hai. Raghu batata hai ki vo badal gaya hai, uski har kaam mein madad karega aur phir se saath mein rehena chahta hai. Meera maan jati hai, Raghu shivir se bete ko le aata hai aur teeno phir nayi zindagi shuru karte hain.
    Show More Show Less
    13 mins
  • जिंदगी की उजली भोर- रूना को जब पता चला समीर का राज?
    Oct 6 2022
    Roona aur Sameer ki arranged marriage hui thi. Saas mar chuki thi. Kuch hi dino ke baad Sameer ne Ahmedabad aa kar apni naukri join kar li. Ahmedabad aakar Roona khush thi. Sameer ke saath use bahut accha lag raha tha aur veh bas ek bacche ke aane ka intazaar kar rahi thi. Isi beech uski ek saheli ne bataya ki usne Sameer ko Baroda mein ek khoobsurat mahila ke saath shopping karte dekha, jabki Sameer Mumbai jaane ki baat keh kar gaya tha. Ab Roona ka dil ghabrane laga. Roona ne baat ka batangad banana ke bajay sirf Sameer se yahi kaha ki veh bhi uss mahila se milna chahti hai. Sameer use lekar restaurant pahuncha jahan veh mahila thehri hui thi. Rooma se parichay karate hue uss ne bataya ki yeh meri maa hai. Roona dang reh gayi. Mahila ki god mein ek choti bacchi bhi thi. Uske pita ne iss mahila ke saath doosri shaadi ki thi. Darasal uski maa beemar rehti thi and veh kaafi akela mehsus karte the. Isi dauran iss mahila yani Roshni ke saath unke rishte bane aur tab dono ne shaadi ki. Fir unn ki bacchi hui. Idhar Roshni apni umr ke ek purush ke pyaar mein padh gayi. Roshni se uske pita ko talaq de diya. Sameer ke pita ab iss duniya ko alvida keh chuke the aur jaane se pehle unhone Sameer se vada liya tha ki veh behen ke prati apni zimmedari nibhayega. Sameer apni behen ko apne saath rakh kar uski dekhbal karna chahta tha. Roona turant taiyar ho gayi. Bade pyaar se boli ki veh iss bacchi ko bahut pyaar se palegi kyonki veh jaanti hai ki maa ke marne ke baad ka gham kya hota hai. Roona ne kaha ki veh apni iss bacchi ka naam savera rakhegi kyonki veh uski zindagi mein ujla bhor lekar aane wali hai.
    Show More Show Less
    19 mins